GULAAL-Lyrics

gulaal

Music Director: Piyush Mishra

Lyrics: Piyush Mishra, Swanand Kirkire

Aarambh
Piyush Mishra, Chorus

Aarambh hai prachand
Bolein mastakon ke jhund
Aaj jung ki ghadi ki tum guhaar do

Aan baan shaan
Ya ki jaan ka ho daan
Aaj ek dhanush ke baan pe utaar do

Man kare so pran de
Jo man kare so pran le
Wo wahi to ek sarv shaktimaan hai

Krishn ki pukaar hai ye
Bhaagwat ka saar hai
Ki yuddh hi to veer ka pramaan hai

Kaurawon ki bheed ho
Ya paandavon ka neer(d) ho
Jo lad sakaa hai wohi to mahaan hai

Jeet ki hawas nahi
Kisi pe koi vash nahi
Kya zindagi hai thokaron pe maar do

Maut ant hai nahi
To maut se bhi kyun darein
Ye jaake aasmaano mein dahaad do!

Wo dayaa ka bhaav yaki
Shaurya ka chunaav yaki
Haar ka wo ghaav tum ye soch lo

Yaki bhoore bhaal par
Jalaa rahe vijay ka laal
Laal ye GULAAL tum ye soch lo
Rang kesari ho ya mridang kesari ho
Ya ki kesari ho taal tum ye soch lo

Jis kavi ki kalpana mein
Zindagi ho prem geet
Us kavi ko aaj tum nakaar do

Bheegti maso mein aaj
Phoolti ragon mein aaj
Aag ki lapat ka tum bhaghaar do

AISI SAZAA
Shilpa Rao

Aisi sazaa deti hawaa
Tanhaai bhi tanha nahi

Neendein bhi ab sone gayeen
Raaton ko bhi parwaah nahi

Aise mein baarish ki boondon se apni saanson ko sehla bhi do
Badhti hawaaon ke jhonko se dil ko naghma koi la bhi do

Palkon ki koro pe baithi nami ko
Dheeme se pighla bhi do

Ye zindagi aisi hi thi
Tumne kabhi jaana nahi

Jeevan ki raahon mein aana ya jaana
Bataake nahi hota hai
Jaate kahin hain magar jaante nahi
Ki aana wahin hota hai
Khone ki zid mein ye kyun bhoolte ho
Ki paana bhi hota hai

Wo pal abhi
Waisa hi hai

Chhoda tha jo
Jaisa wahin

DUNIYA
Piyush Mishra

O ri Duniya
Surmayi aankhon ke pyaalon ki duniya
Satrangi rangon gulaalon ki duniya..o duniya
Alsaayi sezon ke phoolon ki duniya
Angdaai tode kabootar ki duniya
Karwat le soyi haqueeqat ki duniya
Deewaani hoti tabeeyat ki duniya
Khwahish mein lipti zaroorat ki duniya
Insaan ke sapno ki neeyat ki duniya..o Duniya

O ri Duniya

ye duniya agar mil bhi jaaye to kya hai…

Mamta ki bikhri kahaani ki duniya
Behno ki siski jawaani ki duniya
Aadam ke Hawwaa se rishte ki duniya
Shaayar ke pheeke lafzon ki duniya

Ghalib ke Momin ke khwaabon ki duniya
Majaazon ke un inqualaabon ki duniya
Faiz Firaaq aur Saahir o Makhdoom
Mir ki Zauk ki Daagh ki duniya

Ye duniya agar…

Pal chhin mein baatein chali jaati hain hain
Pal chhin mein raatein chali jaati hain hain
Reh jaata hai jo savera wo dhoondhey
Jalte makaan mein basera wo dhoondhey
Jaisi bachi hai waisi ki waisi bachaa lo ye duniya
Apna samajhke apno ke jaisi uthaalo ye duniya

Chhut put si baaton mein jalne lagegi sambhaalo ye duniya…
Kat pit ke raaton mein palne lagegi sambhaalo ye duniya..

O ri Duniya…

Wo kahein hain ki duniya ye itni nahi hai
Sitaaron se aage jahaan aur bhi hain
Ye hum hi nahi hain wahaan aur bhi hain
Hamaari har ek baat hoti wahin hai

Hamein aitraaz nahi hai kahin bhi
Wo aalim hain faazil hain honge sahi hi
Magar falsafaa ye bigad jaata hai
Jo wo kehte hain

Aalim ye kehta wahaan Eeshwar hai
Faazil ye kehta wahaan Allah hai

Tumhari hai tum hi sambhalon ye duniya
Ye bujhte huye chand baasi charaaghon ki
Tumhaare ye kaale iraadon ki duniya…

RAAT KE MUSAFIR
Rahul Ram

O raat ke musafir
Tu bhaag na sambhalke
Potli mein teri ho aag na
Sambhalke

Chal to tu pada hai
Faasla bada hai
Jaan le andhere ke sar pe khoon chadha hai

Mukaam khoj le tu
Makaan khoj le tu
Insaan ke sheher mein insaan khoj le tu

Dekh teri thokar se
Raah ka wo patthar

Maathe pe tere kaske lag jaaye na
Ucchalke.
Maana ki jo hua hai
Wo tune bhi kiya hai
Inhone ne bhi kiya hai
Unhone ne bhi kiya hai

Maana ki tune..haan haan
Chahaa nahi tha lekin
Tu jaanta nahi ki ye kaise ho gaya hai

Lekin tu phir bhi sunle
Nahi sunega koi
Tujhe ye saari duniya kha jayegi
Nigal ke.

RANAJI
Rekha Bharadwaj/Piyush Mishra

Raana ji mhaare gusse me aaye
aiso bal khaaye
agiyaa barasaaye
bhabaraaye mhaaro cahin

jaise door des ke tower me ghus jaaye re aeroplane

Raana ji mhaare aise gurraye, aiso tharraye
bhar aaye mhaare nain

jaise harek baat pe democracy me lagane lag gayo ban
jaise door des ke tower me ghus jaaye re aeroplane
jaise sareaam iraaq me jaake jam gaye uncle Sam
jaise bina baat ke afgaanistaan ka baj gaya band
jaise door des ke tower me ghus jaaye re aeroplane

Raana ji mhaare

SHEHER
Piyush Mishra/Swanand Kirkire

Sannata veeraana khamoshi anjaani….
Zindagi leti hai karvatein toofaani
Ghirte hain saaye ghanere se
Rookhe baalon ko bikhere se
Badhte hain andhere pishaachon se
Kaapein hai jee unke naachon se
Kahin pe wo jooton ki khatkhat hai
Kahin pe alaavon ki chatpat hai
Kahin pe hai jhingoor ki aawaazein
Kahin pe wo nalke ki taptap hai
Kahin pe wo kaali si khidki hai
Kahin wo andheri si chimni hai
Kahin hilte pedon ka jattha hai
Kahin kuch munderon pe rakha hai

Sunsaan gali ke nukkad par jo koi kutta cheeckh cheekh kar rota hai
Jab lamp post ki gandli peeli ghupp roshni mein kuch kuch sa hota hai
Jab koi saaya khud ko thoda bacha bachakar ghum saayon mein khota hai
Jab pul ke khambo ko gaadi ka garam ujaala dheeme dheeme dhota hai

Tab sheher hamaara sota hai….

YAARA MAULA
Rahul Ram, Aushim, Piyush Mishra

Yaadon mein hai ab bhi
Kya sureela wo jahaan tha
Hamaare haathon mein rangeen gubbare they aur dil mein mehekta samaa tha

Wo to khwabon ki thi duniya
Wo kitaabon ki thi duniya
Saans mein they machalte hue zalzale aankh mein wo suhaana nasha tha

Wo zameen thi aasmaan tha
Humko lekin kya pata tha
Hum khade they jahaan par usi ke kinaare par gehra sa andha kuaan tha

Yaara…maula….

Phir wo aayi bheed bankar
Haath mein they unke khanjar
Bole phenko ye kitaabein
Aur sambhalo ye salaakhein

Ye jo gehra sa dhooaan hai
Haan haan andha to nahi hai
Is kooein mein hai khazana
Kal ki duniya to yahin hain
Kood jao le ke khanjar
kaat daalo jo ho andar
Tum hi kal ke ho Shivaji…
Tum hi kal ke ho …SIKANDAR!

Humne wo hi kiya jo unhone ne kahaa
kyunki unki to khwahish yahi thi

Hum nahi jaante ki ye kyun ye kiya
kyun ki unki farmaaish yahi thi

Ab hamaare lagaa jaayka khoon ka
nahi hai koi jo hamein kuch bataaye
Bataao karein to karein kya…

janu-j says:

The Beat Quote of The Film By Piyush Mishra.

sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai.
dekhna hai zor kitna bazuve kaatil me hai
waqt aane pe bataadenge tujhe e asmaan
hum abhi se kya bataye kya hamare dil me hai

ore bismal kaash aate aaj tum hindustaan
dekhte ki mulk saara kya tashan kya chill me hai
aaj ka launda yeh kehta hum to bismil thak gaye
apni aazaadi to bhaiya laundiya ke til me hai.

aaj ke jalson me bismil ek ghunga gaa raha.
aur behron ka wo rela naachta mehfil me hai
haath ki khadi banaane ka zamaana lad gaya
aaj to chaddi bhi silti englison ki mill me hai

dekhna hai zor kitna bazuve kaatil me hai
waqt aane pe bataadenge tujhe e asmaan
hum abhi se kya bataye kya hamare dil me hai
sarfaroshi ki tamanna ab hamare dil me hai.

Arun Kumar says:

Amazing, awesome words compilation. Never ever seen a film like this. A Great work by Anurag Kashyap. Irony, this movie went unnoticed.

Satish says:

Thanks for sharing this compilation.

Jitendra kumar says:

Fantabulous work by Piyush Mishra